kash mein teri aankh ka aansu hota...
ya girta zameen par ya thera tere galon par hota...
kabhe apne hathon se poonch leti mujhe....
toh teri taqdeer ke lakeeron mein shamil hota....
kabhe mil jata tere hothon se...
toh yeh namkeen pani bhe, shehab hota...
kabhe gum mein niklta toh kabhe niklta khushi mein...
kuj toh rishta teri aankhon se hota...
dard yeh nhe, ki teri aankhon se beh gaya...
par khwahish thi, teri aankhon mein kuj samay aur raha hota...
mujhe na beh jane ka na mitne ka gum hua...
kyunki tere honthon ko chum ke aya hota...
kash mein teri aankh ka aansu hota...
ya girta zameen par ya thera tere galon par hota... <3 <3
No comments:
Post a Comment